aaj ham is post me jaanege ki google drive se delete hui file ko recover kaise kare agar aap ne galti se koi file ko delete kardiya hai aur use file ko recover karna chahte hai toh fir aap is post ko last tak padhe google drive me online koi bhi document ya file ham rakh sakte hai kai website ya youtube iska use apne visitor ko file ya folder download ke liye bhi use karte hai ye aap ko free me file share aur file upload karne ke liye free space deta hai aap in file ko kisi bhi PC ya laptop me open kar sakte hai apne gmail id ke help se ise use karna bahut hi asan hai bas aap ko google drive ke website pe jana hoga aur login karke apne account ko open karke kisi bhi file ko aap open kar sakte hai google drive bahut hi best option hai agar aap apne file ko online rakhna chahte ho to isme aapko kai tarah ke facility bhi diya gaya hai inme se ek trash bhi hai
agar aap ka koi file delete ho gaya hai galti se toh voh aapke trash folder me raheta hai jab tak aap trash folder ko delete nahi karte tab tak woh aapke account se correctly remove nahi hota hai agar aapne bhi koi folder galti se delete kardiya hai toh aap trash folder mai se bahut hi asani se restore kar sakte hai ye method bahut hi asan hai bas aap mere bataye gaye step ko step by step follow kare aap bahut hi asani se apne delete file ko recover kar lenge jaisa ki aap computer ya laptop me se bhi koi file delete hone ke baad recycle bin me jata hai aap vaha se apne file ko restore kar sakte hai usi prakar se google drive ka bhi ek recycle bin hota hai aap vaha se apne delete kiye hue file ko restore kar sakte hai jise aapka important file firse apne sahi space pe aa jata hai
ab ham jaan lete hai ki delete hue file ko restore kaise karte hain
Step 1 sabse pehle aap google drive ke website me jaye aur login kare
step 2 login hone ke baad aapko niche trash option pe click karna hai aap image me bhi dekh sakte hai ya
fir aapko menu option show ho raha hoga uspe click kar ke bhi aap trash option pe click kar sakte hai
Step 3 ab aapke samne el page open hua hoga aapne jo file delete kiya tha woh show hone lagega ab aap jis file ko fir se restore karna chahte uspe right click kare ab aap ko option show honge 1 restore 2 delete
ab aap jis file ko restore karna chahte hai uspe right click kare aur restore ke button pe click kare
ab aap ka file apne space pe restore ho jayega ab aap ne jaha pe file pehle save kiya tha use location pe ja kar aap file check kar sakte hai
ise prakar se aap apne google drive se delete kiye gaye file ko restore kar sakte hai woh bhi bina koi musqil ke bas aap mere bataye gaye step ko thik se follow kare
Comments
Post a Comment